Wednesday, March 24, 2010

mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye

mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye,
le sakun mai jis me khulkar saasein mujhe aisa khula khula sa jahaan chajiye,
mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye,


na ho bandhan jaha jaati, dharm, rang aur majhab ka mujhe aisa ek jahaan chahiye,
jahan n ho koi chhota bada, mujhe ek aisa  jahan chahiye, mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye

nahi chahiye mujhe ye zameen par insaano k liye khichi lakirein,
na mujhe is jahaan me koi batwaara chahiye, mujhe aise har batwaare se chhutkaara chahiye,
mail sake agar mujhko ek baar jo phir se, to mujhe khul k jine ka dubaara chahiye...

us uparwale ne jaisa saunpa tha tumko, waise hi hara bhara,
hansata hua sa mahkta hua sa jahan chahiye,
mujhe mera khula khula sa aasmaan chahiye, mujhe mera jahan chahiye...


aage abhi aur bhi hai... (to be continued)

3 comments:

  1. Very nicely written!
    Good thoughts :)

    Regards...

    ReplyDelete
  2. सत्य में ही मुक्ति है । वेद कुरआन यही बताते हैं । आइये सत्य की खोज करें और उसे स्वीकार करें। आपस में तर्क वितर्क करने से ही तो समाज के बेकार रिवाजों का उन्मूलन होना संभव है ।
    आपका आना भी अच्छा लगा और अपनी राय बताना भी . क्या हम देश और समाज के बारे में कुछ भी सोचने के लायक नहीं रहना चाहते ?
    आपके साथ की ज़रूरत है . मेरी हर ग़लत बात को ग़लत कहें लेकिन सही को तो सही कह दें . धन्यवाद .

    ReplyDelete