Wednesday, March 24, 2010

mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye

mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye,
le sakun mai jis me khulkar saasein mujhe aisa khula khula sa jahaan chajiye,
mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye,


na ho bandhan jaha jaati, dharm, rang aur majhab ka mujhe aisa ek jahaan chahiye,
jahan n ho koi chhota bada, mujhe ek aisa  jahan chahiye, mujhe bas thoda sa aasmaan chahiye

nahi chahiye mujhe ye zameen par insaano k liye khichi lakirein,
na mujhe is jahaan me koi batwaara chahiye, mujhe aise har batwaare se chhutkaara chahiye,
mail sake agar mujhko ek baar jo phir se, to mujhe khul k jine ka dubaara chahiye...

us uparwale ne jaisa saunpa tha tumko, waise hi hara bhara,
hansata hua sa mahkta hua sa jahan chahiye,
mujhe mera khula khula sa aasmaan chahiye, mujhe mera jahan chahiye...


aage abhi aur bhi hai... (to be continued)

Sunday, March 21, 2010

Programming Songs

Programming Songs
(someone sent me this as a mail, I liked it so posting for everyone else)


1.Two Recursive functions calling each other
Mujhe kuchh kehna hein
mujhe bhi kuchh kehna hein
pehle tum, pehle tum
2. The debugger
Jab koi baat bigad jaye
Jab koi mushkil pad jaye
Tum dena saath mera hamnawaz
3. From VC++ to VB
Yeh haseen vaadiyan
Yeh khula asmaan
Aa gaye hum kahan
4. Untrackable bug --
aye ajnabi, tu bhi kabhi,
awaaz de kahin se
5. Unexpected bug (esp. during presentation to client)
Ye kya hua, Kaise hua, Kab hua, Kyon hua
6. And then to the client
Jab hua, Tab hua, O chhodo, ye na socho
7. Load Balancing
Saathi haath badhana
ek akela thak jayega
mil kar bojh uthana
8. Modem - talk on a busy connection
suno - kaho,
kaha - suna,
kuch huwa kya?
Abhee to nahin...
kuch bi nahin
9. Windows getting open sourced
Parde mein rahne do
parda na uthao
parda jo uth gaya to bhed khul jayega
allah meri tauba, allah meri tauba
10. Local variable
Jeena Yahan Marna Yahan,
Iske siva Jana kaahan.
11. Global variable
Musafir hoon yaaron,
na ghar hai na thikana
12. Null pointers
Mera jeevan kora kagaz kora hi reh gaya ..
13. Dangling pointers
Maut bhi aati nahi jaan bhi jati nahin.
14. GOTO
Ajeeb dastan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilen hain kaun si
Na woh samajh sake na hum
15. Hidden or Private scope Variable/value
Jaanejan .. dhoondta phir raha,
Hoon tujhe raat din,
main yahan se wahan