Thursday, December 24, 2009

kay tumne kabhi tanhaaiyon se batein ki hain ?

kay tumne kabhi tanhaiyo se batein ki hain ?
bahut kuchh kahti hain humse ye tanhaiyan,
kya tumne kabhi inki baatien suni hain?


kabhi kabhi raat ko banti hain parchhaiyan,
chaho na chaho dur tak san chalti hain ye parchhaeyan
kya tumne kabhi in parchhaiyon se baatein ki hain ?
kya tum kabhi tanhaiyion se baatien ki hain...?



kabhi yu hi mil jate hain raho me kuchh ajnabi,
dekh kar jinhe hum bun lete hain ek pal me hi khawab kai,
kuchh aise ajnabee, jinhe dekh kar lagata hai k "hum pahle bhi hain mile kabhi",
kya tumne aise mauko par dil ki baat suni hai?
kya tumne kabhi aise ajnbeeyo se batien ki hain?



gujri hongi kai tanha raatin kisi ek aahat ke intejaar me,
dekha hoga apna mobile kai baar kisi ke call k intejaar me,
kya tumne kabhi is inejaar me har pal yu hi tumhaar sath dete us phone se baatin ki hain ?
kay tumne kabhi, us raat me har pal tumhare intejaar ka hissa ban us chandni raat se baatin ki hain?
bahut kuchh kahna chahti hai ye raat tumse, kya tumne kabhi is raat ki baat suni hai?









bahut kuchh kahati hain tanhayein humse, hai sine me iske kai raaj batane ko,
jab baat karoge apni tanhayeion se, ye tumhe har raaj bateingee,
chahe to chhod jaye sara jahan saath tumhara,
par jab kabhi bhi hoge tum tanha, tanhayee who mahbooba hai,
jo tumhara daaman chhod kar na jayegee, ye har par saath nibhayegee,
kya tumne apni mahbooba(tanhayee) se apne dil ki baat kahi hai?
Kya tumne kabhi uski baat suni hai? Kya tumne kabhi tanhaiyion se baatien ki hain?

1 comment: