Wednesday, October 28, 2009

ke kis kaaynaat se tum aayee ho

ethlati si, balkhati si, sababon k rang udaati si,
gulaab ki khusbhoo ki tarah is fiza ko mahkati si,
abhi bhi bachpan ho jaise dil me basa, aisi masumiyat se muskaati si,
chuyee muyee ko bhi apni nazook chhuan se lajati si,
bala ki, pariyo si khubsoorti tum layee ho,
k na jane kis kaaynaat se tum aayee ho,
jab se dekha hai tumko bas dil pe tumhi chhayee ho,
k itna bata do hume kis kaaynaat se tum aayee ho...





tumhari aankhein jaise maikhana, bin piye hi hum par khumari chhayee hai,
tumhari muskurahat katilana, mukurati ho to lagta hai ye, saare jahan me khushi chhayee ho,
hai tumhare chehre par wo noor, wo haya, wo masumiyat,
jaise bachpan ki masoomiyat kisi ne, taumr dil me apne basayee ho,
khubsoorti tumhari kuchh aisi hai, jaise "khubsoorat" alfaaz ne bhi jahan me ek nayee misaal payee ho, .
dekha kar tumhe ye lagata "khuda ne barso ka waqt le, bade hi fursat se, khubsoorti ki misaal banayee ho",
dekh kar tumhe yu lagata hai, jaise pariyo ke jahan se koi pari, is jahan me chali aayee ho,
ab na satao, bas itna bata do, kaha hai wo pariyon ka desh jaha se tum aayee ho.


k jab se dekha hai tumko kuchh aur dekhne ki khwahish na rahi,
teri surat in aankhon me kuchh aisi basi, kuchh aur ab in aankhon ko jachta hi nahi,
lakh koshishein kar chuka, tera chehra mere jehan se hatataa hi nahi,
kah do ki ye sach hai, k is jahan me tum mere liye hi aayee ho,
ruk jao meri ban kar, ya sang apne mujhe le chalo wahan, k jis kaaynaat se tum aayee ho,
jab se dekha hai tumhe, bas tumhi mere jehan me chhayee ho,
khatm karo meri uljhno ka daur, bas itna bata do hume,ke kis kaaynaat se tum aayee ho.