Thursday, December 24, 2009

kay tumne kabhi tanhaaiyon se batein ki hain ?

kay tumne kabhi tanhaiyo se batein ki hain ?
bahut kuchh kahti hain humse ye tanhaiyan,
kya tumne kabhi inki baatien suni hain?


kabhi kabhi raat ko banti hain parchhaiyan,
chaho na chaho dur tak san chalti hain ye parchhaeyan
kya tumne kabhi in parchhaiyon se baatein ki hain ?
kya tum kabhi tanhaiyion se baatien ki hain...?



kabhi yu hi mil jate hain raho me kuchh ajnabi,
dekh kar jinhe hum bun lete hain ek pal me hi khawab kai,
kuchh aise ajnabee, jinhe dekh kar lagata hai k "hum pahle bhi hain mile kabhi",
kya tumne aise mauko par dil ki baat suni hai?
kya tumne kabhi aise ajnbeeyo se batien ki hain?



gujri hongi kai tanha raatin kisi ek aahat ke intejaar me,
dekha hoga apna mobile kai baar kisi ke call k intejaar me,
kya tumne kabhi is inejaar me har pal yu hi tumhaar sath dete us phone se baatin ki hain ?
kay tumne kabhi, us raat me har pal tumhare intejaar ka hissa ban us chandni raat se baatin ki hain?
bahut kuchh kahna chahti hai ye raat tumse, kya tumne kabhi is raat ki baat suni hai?









bahut kuchh kahati hain tanhayein humse, hai sine me iske kai raaj batane ko,
jab baat karoge apni tanhayeion se, ye tumhe har raaj bateingee,
chahe to chhod jaye sara jahan saath tumhara,
par jab kabhi bhi hoge tum tanha, tanhayee who mahbooba hai,
jo tumhara daaman chhod kar na jayegee, ye har par saath nibhayegee,
kya tumne apni mahbooba(tanhayee) se apne dil ki baat kahi hai?
Kya tumne kabhi uski baat suni hai? Kya tumne kabhi tanhaiyion se baatien ki hain?

Monday, November 2, 2009

tu mohabbat hai meri

hai tu kis uljhan me? kis zaddojehad me gum hai tu?

kaun hu mai, kyo aata hu khwabo me tere, kya rishta hai mera tujh se?

kyo khojti hai tu zawab in sawalo ke is jahan me, mumkin nahi mil jaye mujh tak aane ka rasta is jahan me,

mai ek khusboo hu, mai mohabbat hu teri, mai to tere dil me basa ek ehsaas hu,

tune dekha tha jo subah subah, mai wo hi hansi khwab hu,

mai mohabbat hu teri, mai to tere dil me basa ek ehsaas hu...





aankein band kar ke dekh apni, nazar aati hai jiski shaql mai wo hi shaqs khaas hun,

mai to khusboo hun teri, mai to tere dil me basa ek ehsaas hun,

mai mohabbat hu teri, mai pahli mohabbat ka wahi khushnuma ehsaas hu,

mai mohabbat hu teri, mai to tere dil me basa ek ehsaas hu...





dur nahi mai kabhi bhi tujhse, mai to har pal tere paas hun,

basa hun mai tere dil me dhadkne ban kar, mai to har kadam tere saath hu,

tu meri bandagi hai, tu meri zindgi hai, tu meri jine ki wajah khaas hai,

tu dhadkno me basti hai meri, teri khusboo mere liye zindgi ka ehsaas hai,

tu mohabbat hai meri, tu mere dil me basi zindgi ka ehsaas hai,









tere dil meri mohabbat basi hai, is baat par mujhe apne zinda hone se jyda aitbaar hai,

khuda ne mujhe zindgi shayad is liye baksh di hai, k uski sabse nayab chij ko mujse pyar hai,

aaja aagosh me meri gar tujhe mujh par aitbaar hai,

vada hai mera har pal saath nibhaunga, haath jo ek baar thama tera, kabhi haath chhuda kar na jaunga,

mujhe barso se bas teri hi talaash hai, tu mohabbat hai meri, tu meri zindgi me zindgi ka ehsaas hai

Wednesday, October 28, 2009

ke kis kaaynaat se tum aayee ho

ethlati si, balkhati si, sababon k rang udaati si,
gulaab ki khusbhoo ki tarah is fiza ko mahkati si,
abhi bhi bachpan ho jaise dil me basa, aisi masumiyat se muskaati si,
chuyee muyee ko bhi apni nazook chhuan se lajati si,
bala ki, pariyo si khubsoorti tum layee ho,
k na jane kis kaaynaat se tum aayee ho,
jab se dekha hai tumko bas dil pe tumhi chhayee ho,
k itna bata do hume kis kaaynaat se tum aayee ho...





tumhari aankhein jaise maikhana, bin piye hi hum par khumari chhayee hai,
tumhari muskurahat katilana, mukurati ho to lagta hai ye, saare jahan me khushi chhayee ho,
hai tumhare chehre par wo noor, wo haya, wo masumiyat,
jaise bachpan ki masoomiyat kisi ne, taumr dil me apne basayee ho,
khubsoorti tumhari kuchh aisi hai, jaise "khubsoorat" alfaaz ne bhi jahan me ek nayee misaal payee ho, .
dekha kar tumhe ye lagata "khuda ne barso ka waqt le, bade hi fursat se, khubsoorti ki misaal banayee ho",
dekh kar tumhe yu lagata hai, jaise pariyo ke jahan se koi pari, is jahan me chali aayee ho,
ab na satao, bas itna bata do, kaha hai wo pariyon ka desh jaha se tum aayee ho.


k jab se dekha hai tumko kuchh aur dekhne ki khwahish na rahi,
teri surat in aankhon me kuchh aisi basi, kuchh aur ab in aankhon ko jachta hi nahi,
lakh koshishein kar chuka, tera chehra mere jehan se hatataa hi nahi,
kah do ki ye sach hai, k is jahan me tum mere liye hi aayee ho,
ruk jao meri ban kar, ya sang apne mujhe le chalo wahan, k jis kaaynaat se tum aayee ho,
jab se dekha hai tumhe, bas tumhi mere jehan me chhayee ho,
khatm karo meri uljhno ka daur, bas itna bata do hume,ke kis kaaynaat se tum aayee ho.